jab andhere ke bayaban se guzar jaega na-tawan jism ke sae se wo dar jaega gar khayalat ka shiraaza bikhar jaega aadmi apni hadon se bhi guzar jaega karb ki dhup ki garmi se pareshan ho kar wo meri ruh ke dariya mein utar jaega hai thaka-haara bahut waqt ka budha suraj chalte-chalte kisi sae mein thahar jaega ub kar ghar ki ghutan se to nikal aaya hai ab bhatakta hua jaane wo kidhar jaega apne afkar ki bhikon se hi 'jami' shayad mere alfaz ke kashkol ko bhar jaega