har koi sar uTha ke chalta tha

har koi sar utha ke chalta tha
ghar ki lassi thi ghar ka aata tha

jaane kis baat par khafa tha wo
aap jalta tha aap bujhta tha

us ke andar se bolta tha koi
jab kabhi mood mein wo hota tha

shakh se aam jis tarah tapke
us tarah mujh pe jaan deta tha

odh li shaal kyon khamoshi ki
wo to ek guftugu ka dhaara tha

raat sara makan dol gaya
kya hawai jahaz guzra tha

kho gaya tha wo gahri sochon mein
dhup ke ghar mein kal andhera tha

chhod dete the rasta dariya
aadmi ka charagh jalta tha

thand thi ret ke makanon mein
sarbanon se pyar milta tha

phul khilte the reg-zaron mein
zikr masjid mein us ka hota tha

koi sabze ki lahr thi shayad
jis ne aaram se sulaya tha

ab wahan unt bilbilate hain
pahle murghabiyon ka dera tha

ped ugte the apni marzi se
koi tahsil thi na thana tha

shahr wale to phenk aae the
us ko dariya uthae phirta tha

rang karwa diya tha shishon par
roz suraj jo jhanka karta tha

telewision nawazta hai ab
pahle akhbar par guzara tha

jab palatta tha us ke ghar se 'khalil'
ek saya sa sath hota tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close