har koi shahr mein paband-e-ana lagta hai kya tamasha hai ki har shakhs khuda lagta hai main ne hijrat ke bayaban mein riyazat ki hai ab ye jangal mujhe firdaus-numa lagta hai dida-e-shokh mein dekha hai utar kar main ne husn pindar hai parde mein bhala lagta hai jab tere gham se nikalne ki na surat nikle tera wahshi kisi diwar se ja lagta hai is ko sarkar ke bose ka sharaf hasil hai warna kala sa ye patthar mera kya lagta hai ab bhi jata hun kate ped ka saya lene muddaton se jo bhala tha so bhala lagta hai