kabhi to chashm-e-falak mein haya dikhai de

kabhi to chashm-e-falak mein haya dikhai de
ki dhup sar se hate aur ghata dikhai de

main iqtibas-e-aziyyat hun lauh-e-duniya par
so mujh mein gham ke siwa aur kya dikhai

main chahta hun ki mere liye mere maula
lab-e-adu pe bhi harf-e-dua dikhai de

charagh ban ke sada is liye jale hum log
hamari zid thi ki hum ko hawa dikhai de

kabhi to sehn-e-gulistan se ho khizan rukhsat
kabhi to ped pe patta hara dikhai de

hisar-e-zat se main is liye nikalta nahin
ki chashm-e-tar ko meri kaun kya dikhai de

zamane baad laga khud ko dekh kar aisa
ki jaise khwab mein ek gum-shuda dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close