har lafz us ke munh se jo nikla bhala laga har wo libas us ne jo pahna naya laga rahta hai pattharon ke nagar mein wo sang-dil be-faeda hai dar pe na us ke sada laga be-chehra be-libas hain basti ke sare log kaisi haya yahan pe na band-e-qaba laga surat se us ki mujh ko hai nafrat magar ye kya taswir se usi ki mera ghar saja laga tujh se farar pa na saka main kabhi 'zafar' jis raste gaya wo tere ghar se ja laga