har lamha humne baat rakhi hai ye dhyan mein

har lamha hum ne baat rakhi hai ye dhyan mein
ek dastan aur bhi hai dastan mein

yaron ne ek aan mein mujh ko gira liya
kotah rah gaya tha main apni udan mein

kilen si chubh rahi hain badan mein shuaon ki
kis ne kiye hain chhed mere saeban mein

aankhon ki khamushi mein samundar ka shor tha
luknat si pad gai thi hamari zaban mein

lete hain sans bhi to zara soch soch kar
hum log rah rahe hain kisi ke makan mein

kis ne bikher di hain faza mein udasiyan
kis ne bhara hai dard parinde ki tan mein

kuchh log ashk ashk the kuchh the misal-e-najm
kuchh gum hue zamin mein kuchh aasman mein

hum naqd-e-jism-o-jaan se kharidenge kya bhala
kuchh bhi to ab nahin hai tumhaari dukan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close