nirale nirale se khwabon ka mausam jawani ka aalam sarabon ka mausam gulabi gulabi sahabon ka mausam nahin rahta har dam gulabon ka mausam masarrat ki ghadiyan nahin tik sakin jab badal kar rahega azabon ka mausam azizo ye khar-e-gulistan hain shahid zarur aaega phir gulabon ka mausam faqat mausami hai ye josh-e-jawani ki barish mein jaise hababon ka mausam ghazab dha raha hai ye shauq-e-numaish qayamat hai ye be-hijabon ka mausam guzar jaen din kash hanste hansate kise ras aaya itabon ka mausam kama lijiye chahe jitni bhalai budhapa hai 'nami' sawabon ka mausam