har lamhe main sadiyon ka afsana hota hai gardish mein jab sanson ka paimana hota hai hum ko to bas aata hai sanson ka karobar kya khona hota hai aur kya pana hota hai dil ki zid par us se milna padta hai har roz aur phir sari duniya ko samjhana padta hai aankhen bhar aati hain meri hans lene ke baad shahar se aage akasr virana padta hai ghar mein khwahish hoti hai sahraon ko jaen phir kuchh soch ke raste mein ruk jaana hota hai roz koi pahna deta hai khwabon ki pazeb aur phir nach ke duniya ko dikhlana hota hai kho dena hota hai khud ko din hone ke sath sham dhale tak phir se khud ko pana hota hai pahle sabit hota hai us se malne ka jurm aur phir mujh pe yaadon ka jurmana hota hai