jiye khud ke liye gar hum maza tab kya hai jine mein bahe auron ki khatir jo hai khushbu us pasine mein hai jin ke bazuon mein dam wo dariya par kar lenge bahut mumkin hai duben wo jo baithe hain safine mein ye kaisa daur aaya hai saron par taj hai un ke nahin malum jin ko farq patthar aur nagine mein hamare doston ki muskurahat ek chhalawa hai hai paya zahr aksar khub-surat aabgine mein gae tum dur jab se dil ye kahta hai karo tauba maza aata nahin khud hi utha kar jam pine mein sitam sahne ki aadat is qadar hum ko padi 'niraj' kahin kuchh ho, nahin ab khaulta hai khun sine mein