har marhale se yun to guzar jaegi ye sham le kar bala-e-dard kidhar jaegi ye sham phailengi chaar samt sunahri udasiyan takra ke koh-e-shab se bikhar jaegi ye sham rag rag mein phail jaega tanhaiyon ka zahr chupke se mere dil mein utar jaegi ye sham tuta yaqin zakhmi umiden siyah khwab kya le ke aaj su-e-sahar jaegi ye sham thahregi ek lamhe ko ye gardish-e-hayat tham jaegi ye subh thahar jaegi ye sham khunin bahut hain mamlikat-e-shab ki sarhaden hathon mein le ke kasa-e-sar jaegi ye sham mahkega lafz lafz se shahid dayar-e-subh le kar meri ghazal ka asar jaegi ye sham