main is dil se nikal kar baam-o-dar taqsim karti hun

main is dil se nikal kar baam-o-dar taqsim karti hun
ki khud be-ghar hun aur logon mein ghar taqsim karti hun

nagar walon mein jab kotah-dasti aam hoti hai
main aandhi ki tarah un mein samar taqsim karti hun

hawaon ke liye kuchh bhi bacha kar main nahin rakhti
khizan-rut ki tarah pura shajar taqsim karti hun

mere pas us ko dene ke liye itni mohabbat hai
ki main khud bhi nahin bachti agar taqsim karti hun

ajab man hun ki khud to un se aage ja nahin sakti
magar main apne bachchon mein safar taqsim karti hun

isi khatir purane lafz mere pas aate hain
ki main un mein mohabbat ka asar taqsim karti hun

main pas-andaz kar sakti nahin yaadon ki daulat ko
agar bach jae to bar-e-digar taqsim karti hun

siwa la-hasili ke aur hasil kuchh nahin hota
main jab bhi khud ko us par ai 'qamar' taqsim karti hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close