har mausam barsat ka mausam

har mausam barsat ka mausam
be-qabu jazbaat ka mausam

meri bansuri us ke labon par
ho to ho naghmat ka mausam

baat pate ki kah jata hai
baat baat mein baat ka mausam

koi murti ban jaegi
aaya hai him-pat ka mausam

kore kaghaz par likkha hai
honton ki harkat ka mausam

hum chahen to aa sakta hai
wo shirin kalmat ka mausam

tere bin jiwan hai jaise
bin baadal barsat ka mausam

khushk labon se kuchh kahta hai
bhigi bhigi raat ka mausam

mera rishte-dar hua hai
mere dard ki zat ka mausam

aansu ko bhi pani kar de
aankhon ke haalat ka mausam

bant rahe gul mahak tabassum
phir aaya khairaat ka mausam

aankhen band karun to dekhun
ek nazar mein ghat ka mausam

hai shatranj hi jiwan apna
pai-dar-pai shah mat ka mausam

aane wala hai aaega
mere ghar barkat ka mausam

nahin badalta nahin badalta
insan ki aadat ka mausam

zakhm-e-dil ko sahlata hai
narm narm us hath ka mausam

tum jo aankh utha kar dekho
raat mein ho barsat ka mausam

har titli ke khwab mein aae
phulon ki barsat ka mausam

hum se puchho kya hota hai
insani aafat ka mausam

bin puchhe kyon aa jata hai
talkh talkh si baat ka mausam

chand ki kirnen le aati hain
dil se dil ki baat ka mausam

phir phir yaad aata hai 'panchhi'
guzar gae lamhat ka mausam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close