nigah-e-shauq mein yun zulf ke sab pech-o-KHam Dube

nigah-e-shauq mein yun zulf ke sab pech-o-kham dube
aqidat ki nadi mein jaise patthar ke sanam dube

hue alfaz gunge ho gain sab harkaten mubham
ki jab apne lahu mein apne hi lauh-o-qalam dube

hazaron nafsiyati rang ubhar aae ki jab dekha
khushi ki ek pyali mein pahadon jaise gham dube

mohabbat ka samundar to bulata hi raha lekin
rahe donon kinare par na tum dube na hum dube

dubona dubna hai rahat-e-jaan khul gaya uqda
jo pahle pahl us ke nainon mein us ke balam dube

tujhe kaise bataun ai ghazala teri aankhon mein
bahut dube mere arman lekin phir bhi kam dube

raqib apne se thin athkheliyan girdab ki aisi
agar ubhra to wo ubhra agar dube to hum dube

labon ke sahilon par nam us ka likh ke rakhiyega
kahin aisa na ho ki apne mohsin ka karam dube

na ganga-jal mein hi dube na dube aab-e-kausar mein
magar ashkon ke sagar mein sabhi dair-o-haram dube

tere alfaz 'panchhi' teri kashti ke musafir the
talash-e-jazba-e-tausif mein jo dam-ba-dam dube


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close