har mausam-e-tapan mein gul-e-tar luTaiye

har mausam-e-tapan mein gul-e-tar lutaiye
jab log tishna-lab hon samundar lutaiye

kahta hai harf-e-dosti ab bhi pukar ke
ghar mein kisi ke aap na patthar lutaiye

mahlon mein qahqahon ki hai barsat roz-o-shab
khushiyan kabhi to mere bhi dar par lutaiye

jab aap ho ke shahr-e-farozan se aae hain
tarikiyon mein nur ki chadar lutaiye

ahbab chat jaenge dimak ki shakl mein
ab daulat-e-khulus bhi bach kar lutaiye

zehnon ko taza-kar banane ke waste
sher-o-sukhan ke phul barabar lutaiye

'gauhar' hai be-bisat abhi shahr-e-fikr mein
ek din mata-e-ilm bhi is par lutaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close