ek pal bhi kahin rahat-o-aram nahin hai ye ishq ka aaghaz hai anjam nahin hai darta hun ki gardish na zamane ki thahar jae ab hath mein suraj hai mere jam nahin hai kya lut liya rindon ne mai-khana hi sara ya meri hi qismat mein koi jam nahin hai jis pap ki duniya mein hai rawan ka basera us swarg si dharti pe koi ram nahin hai main ne hi nikhaara hai tera rang-e-mohabbat aur mera teri bazm mein kuchh kaam nahin hai tum ne hi sitam dhae hain tum ne hi jafa ki main kaise kahun tum pe kuchh ilzam nahin hai sab kuchh hai jab apna hi to main soch raha hun insan ko kyon pahla sa aaram nahin hai mere hi gunahon pe nazar kyon hai jahan ki hai kaun jo is daur mein badnam nahin hai hairat hai ki tu us ko nahin jaanta lekin is shahr mein 'gauhar' koi gum-nam nahin hai