har mazhab be-ruh jasad hai jazbe ki qallashi hai rakh ke tude pujte hain ye kaba hai wo kashi hai arsh ki qil-o-qal suni afsana-e-wajd-o-haal suna zehn ki wo ayyashi hai aur ruh ki ye ayyashi hai dil murda mafluj hain ruhen kaun jale aur kaun jalae is thande mahaul mein beja shauq ki akhgar-pashi hai haal dil-e-ashufta ka ai dair-o-haram kya tum se kahen wahshat har darbar se hai sahra ki hazir-bashi hai sane-e-qudrat tere qalam ka kya kahna lekin ye bata naqsh mitana naqsh banana ye kaisi naqqashi hai amn-o-sukun ka ye waqfa marne ka ifaqa hai 'rizwi' chehre par tahzib-e-umam ke waqti ye bashshashi hai