zamana aankh se ojhal makan samne hai chhipi hui hai haqiqat guman samne hai nigah uljhi hui hai wahin magar dil ke khuli zamin khula aasman samne hai khada hai tan ke wo abruon ki shamshiren idhar ye jaan meri na-tawan samne hai karunga roze ka izhaar kis tarah tum par namaz ka to jabin par nishan samne hai jhukaun sar to zamin khinchti hai su-e-patal uthaun sar ko to sara jahan samne hai ruka hua wo koi karwan samne hai wo chal ke thahr gaya hai chatan samne hai mere wajud ko jumbish ka ikhtiyar nahin tumhaari aankhon ka aaina-dan samne hai main ishtiha ki aziyyat mein hun na khinch mujhe abhi hai tur bahut dur nan samne hai