har nafas par ye guman hai ki khata ho jaise umr yun guzri ki jine ki saza ho jaise main ba-har-taur hun paband-e-shumar-e-anfas saz har haal mein majbur-e-nawa ho jaise zindagi amr-e-mashiyyat hai magar kya kahiye wo nadamat hai koi jurm kiya ho jaise mujh ko har hadisa-e-asr hua yun mahsus mere hi dil ke dhadakne ki sada ho jaise is tarah naz hai daman-e-tahi par mujh ko meri mahrumi bhi us ki hi ata ho jaise khanda-e-gul se bhi ehsas pe yun chot lagi mere hi chaak gareban pe hansa ho jaise yun nibard-azma har nafs-o-zamir aaj bhi hai zindagi marka-e-karb-o-bala ho jaise arsa-e-zehn mein yun fikr hai laghzida khiram dasht-e-pur-khar mein ek aabla-pa ho jaise yun meri zist bhi bargashta hai mujh se 'athar' kisi be-mehr ke daman ki hawa ho jaise