apni bhigi hui palkon pe saja lo mujh ko rishta-e-dard samajh kar hi nibha lo mujh ko chum lete ho jise dekh ke tum aaina apne chehre ka wahi aks bana lo mujh ko main hun mahbub andheron ka mujhe hairat hai kaise pahchan liya tum ne ujalo mujh ko chhanw bhi dunga dawaon ke bhi kaam aaunga nim ka pauda hun aangan mein laga lo mujh ko doston shishe ka saman samajh kar barson tum ne barta hai bahut ab to sambhaalo mujh ko gae suraj ki tarah laut ke aa jaunga tum se main ruth gaya hun to mana lo mujh ko ek aaina hun ai 'naqsh' main patthar to nahin tut jaunga na is tarah uchhaalo mujh ko