har nafas tez aanch par kyon hai

har nafas tez aanch par kyon hai
khauf-e-tanhai is qadar kyon hai

ibtida qaid intiha bhi qaid
phir ye tafhim-e-baal-o-par kyon hai

dil agar muntazir nahin us ka
phir ye tazin-e-baam-o-dar kyon hai

apne sae se bhi hai na-waqif
aadmi itna be-khabar kyon hai

be-zaban hai ye teri nazron mein
phir tujhe aaine ka dar kyon hai

khud ko dushman bhi wo nahin kahta
dost gar hai to be-zarar kyon hai

apne rang-e-hijab se puchho
'raaz' shaista-e-nazar kyon hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close