har parinde ki baat sunta hai be-zaban ped sab se achchha hai jis qadar hum ne bhed samjha hai koi manzil na koi rasta hai in andheron ko kis liye kosen raushni ban ke phul khilta hai chalne wala nikal gaya aage qafila raste mein thahra hai jis ki khatir hain jagte rahe hum wo abhi palne mein sota hai in dinon main hun tanha tanha sa ek gum-sum khayal rahta hai be-gharon ke qadam nahin rukte un ka aangan tamam duniya hai dil bahalta hujum mein rah kar khud se darta hua wo tanha hai kal ki baaton se be-khabar hum hain sat janmon ka kya bharosa hai