takhayyul mein kabhi jab aap ki taswir ubhri hai to kaghaz par qalam ki nok se tahrir hai meri qismat ki kashti bahr-e-gham mein dub sakti thi teri taqdir se shayad meri taqdir ubhri hai teri yaadon ka suraj mustaqil gardish mein ho jaise kahin par din nikal aaya kahin tanwir ubhri hai hina ke phul hathon par saja ke ye kaha us ne hatheli par tumhaare pyar ki zanjir ubhri hai abhi tak nind ke panchhi jo palkon par nahin utre meri aankhon mein tere khwab ki tabir ubhri hai chale bhi aao 'anwar' zindagi ki aakhiri shab hai tumhaari yaad hai aur hasrat-e-dil-gir ubhri hai