har qadam duri-e-manzil hai numayan mujhse

har qadam duri-e-manzil hai numayan mujh se
meri raftar se bhage hai bayaban mujh se

dars-e-unwan-e-tamasha ba-taghaful khush-tar
hai nigah rishta-e-shiraaza-e-mizhgan mujh se

wahshat-e-atish-e-dil se shab-e-tanhai mein
surat-e-dud raha saya gurezan mujh se

gham-e-ushshaq na ho sadgi-amoz-e-butan
kis qadar khana-e-aina hai viran mujh se

asar-e-abla se jada-e-sahra-e-junun
surat-e-rishta-e-gauhar hai charaghan mujh se

be-khudi bistar-e-tamhid-e-faraghat ho jo
pur hai sae ki tarah mera shabistan mujh se

shauq-e-didar mein gar tu mujhe gardan mare
ho nigah misl-e-gul-e-shama pareshan mujh se

bekasi-ha-e-shab-e-hijr ki wahshat hai hai
saya khurshid-e-qayamat mein hai pinhan mujh se

gardish-e-saghar-e-sad-jalwa-e-rangin tujh se
aaina-dari-e-yak-dida-e-hairan mujh se

nigah-e-garm se ek aag tapakti hai 'asad'
hai charaghan khas-o-khashak-e-gulistan mujh se

bastan-e-ahd-e-mohabbat hama na-dani tha
chashm-e-nakushuda raha uqda-e-paiman mujh se

aatish-afrozi-e-yak-shola-e-ima tujh se
chashmak-arai-e-sad-shahr charaghan mujh se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close