hum tera hijr manane ke liye nikle hain

hum tera hijr manane ke liye nikle hain
shahr mein aag lagane ke liye nikle hain

shahr kuchon mein karo hashr bapa aaj ki hum
us ke wadon ko bhulane ke liye nikle hain

hum se jo ruth gaya hai wo bahut hai masum
hum to auron ko manane ke liye nikle hain

shahr mein shor hai wo yun ki guman ke safari
apne hi aap mein aane ke liye nikle hain

wo jo the shahr-e-tahayyur tere pur-fan meamar
wahi pur-fan tujhe dhane ke liye nikle hain

rahguzar mein teri qalin bichhane wale
khun ka farsh bichhane ke liye nikle hain

hamein karna hai khudawand ki imdad so hum
dair-o-kaba ko ladane ke liye nikle hain

sar-e-shab ek nai tamsil bapa honi hai
aur hum parda uthane ke liye nikle hain

hamein sairab nai nasl ko karna hai so hum
khun mein apne nahane ke liye nikle hain

hum kahin ke bhi nahin par ye hai rudad apni
hum kahin se bhi na jaane ke liye nikle hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close