har qadam ek qayamat jahan bawar aae tere pichhe to koi soch-samajh kar aae mere showcase ki taqdir sanwar sakti hai kya ye kam hai ki mere ghar tera patthar aae main jinhen mil na saka wo to munafiq honge jin ko aana tha mere dil mein barabar aae ho sake to ye baha ashk nadamat wale ain mumkin hai ki wo shakhs palat kar aae aalam-e-wajd mein aane to de ek bar mujhe ek to kya teri taswir bhi chal kar aae agla mausam ho tabahi ka ye mumkin hai miyan ek muddat hui basti mein qalandar aae ho gaya aaj ayan tere tasawwur ka tilism dil ki dahliz pe alfaz ke lashkar aae koi 'afaq' mohabbat ki himayat mein nahin jaane kitne hi nishan us ke badan par aae