kaise samjhaun nasim-e-subh tujh ko kya hun main phul ke sae mein murjhaya hua patta hun main khak ka zarra bhi koi tere daman mein na tha qadr kar ai zindagi tuta hua tara hun main har dhadakte dil se an-jaana sa rishta hai mera aag daman mein kisi ke bhi lage jalta hun main apni tariki samete puchhti hai mujh se raat kaun si hai subh jis ko dhundhne nikla hun main mujh ko samjhae to koi raazdar-e-kaenat mujh mein hai aabaad ye duniya ki khud apna hun main zindagi tute hue khwabon mein guzri hai to kya! aaj bhi ek khwab aankhon mein liye baitha hun main samt-e-manzil hi badal jae to mera kya qusur raston se puchh kar dekho kahin thahra hun main der tak hasrat se dekhegi use sham-e-safar jis zamin par naqsh apne chhod kar guzra hun main chupke chupke raat bhar kahta hai 'akhtar' mujh se dil bastiyan aabaad hain mujh se magar sahra hun main