har qadam marhala-e-dar-o-salib aaj bhi hai jo kabhi tha wahi insan ka nasib aaj bhi hai jagmagate hain ufuq par ye sitare lekin rasta manzil-e-hasti ka muhib aaj bhi hai sar-e-maqtal jinhen jaana tha wo ja bhi pahunche sar-e-mimbar koi mohtat khatib aaj bhi hai ahl-e-danish ne jise amr-e-musallam mana ahl-e-dil ke liye wo baat ajib aaj bhi hai ye teri yaad hai ya meri aziyat-koshi ek nashtar sa rag-e-jaan ke qarib aaj bhi hai kaun jaane ye tera shaer-e-ashufta-e-mizaj kitne maghrur khudaon ka raqib aaj bhi hai