sair karne se hawa lene se kaam hai dil ko maza lene se dhup sae ki tarah phail gai in darakhton ki dua lene se is tarah haal koi chhupta hai is tarah zakhm chhupa lene se koi maqbul dua hoti hai sirf hathon ko utha lene se mere jaisa wo nahin ho sakta mera andaz chura lene se raat kuchh achchhi guzar jati hai chand ko chhat pe bula lene se waqt be-waqt ka aazar mila waqt ko sath laga lene se aaj bhi nam wahi hai apna kya hua nam kama lene se