har qadam par mujhe laghzish ka guman hota hai chashm-e-saqi ki nawazish ka guman hota hai ye hijabaat-e-tayyun mujhe manzur nahin fikr-e-azad ko bandish ka guman hota hai lutf-e-paiham na sahi jaur-e-musalsal hi sahi har tawajjoh pe nawazish ka guman hota hai un ke aage lab-e-izhaar pe hai mohar-e-sukut ek khamosh parastish ka guman hota hai main qafas mein hun qafas pesh--e-nigah-e-sayyaad par-e-parwaz mein jumbish ka guman hota hai sirf tum dil ki tabahi ka sabab kya hote bakht-e-na-saz ki sazish ka guman hota hai baat ye kya hai 'uruj' in ki har ek baat mein aaj apni har tarz-e-guzarish ka guman hota hai