go dur ho chuka hun yaran-e-anjuman se lekin mafar nahin hai ehsas ki chubhan se husn-e-nazar ka jadu sar chadh ke bolta hai asnam-e-marmarin bhi lagte hain sim-tan se ghuncha hi phul ban kar jaan-e-chaman hua hai main ne yaqin ki daulat pai hai husn-e-zan se aaj un ke raston mein kante bichhe hue hain kal tak jo khelte the rangini-e-chaman se jaise chaman se nikhat jaise sadaf se moti aise juda hua hun main jannat-e-watan se main raaz-e-rang-o-bu se na-ashna nahin hun mujh ko gila bhi kab hai phulon ki anjuman se meri ghazal 'uruj' ek taswir-e-asr-e-nau hai main ne use sanwara tahzib-e-fikr-o-fan se