har raaz-e-nihan aaj nikal aaya zaban se

har raaz-e-nihan aaj nikal aaya zaban se
kyon chhupta nahin kuchh bhi is andaz-e-bayan se

ek main hun jise koi tawaqqo hai na ummid
ek tum ho lagae hue dil sare jahan se

itnon ne pukara ki gaya hum se bichhad kar
dil dhundh ke laen bhi to ab laen kahan se

us ko bhi bulata hai yahan koi tadap kar
mujh ko bhi koi khinchne lagta hai wahan se

ek tum hi nahin haal-e-dilan jaanne wale
hoti hai zamane ko khabar aah-o-fughan se

pahle to junun ne mere tayyar kiya but
ab phodta rahta hun main sar sang-e-giran se

jine ki alamat ho na 'amrit' to bhala phir
bekar si ek baat pe kyon jate ho jaan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close