har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai bedad zamana bhi kisi dad ki zid hai har khair kisi shar se baqa-yab hui hai ye hsun-e-tadul bhi to azdad ki zid hai ab aankhen bhala kis tarah taqsim kare man diwaren khadi karna to aulad ki zid hai girya nahin maqul ba-yaad-e-kas-e-rafta lekin ye tamasha dil-e-nashad ki zid hai main rasta bhula hua pyaada hun mujhe kya rahbar ko agar jada-e-barbaad ki zid hai main khud se nibhane ka rawadar nahin tha ye pahli mohabbat mere ham-zad ki zid hai hain fikr ke aasar khudaon ki jabin par ek abd-e-ziyan-kar ko ilhad ki zid hai