har ranj qubul kar raha hun zakhmon ko main phul kar raha hun ek pal ki ye zindagi hai meri lekin ise tul kar raha hun jis jis ko ata kiya khuda ne wo dard wasul kar raha hun jo harf feal se ruth jae us ko main faul kar raha hun lohe ki khadi hui hai diwar aur main use dhul kar raha hun pahchan ke apne aap ko bhi phir bhi kahin bhul kar raha hun apnon ke ta'alluqat sare ghairon se wasul kar raha hun har samt hawa chali kuchh aisi shisham ko babul kar raha hun har gam pe zulmaton mein rakh de us ko bhi rasul kar raha hun main baad-e-saba pe rakh ke pahre kaliyon ko malul kar raha hun jis se hai sab intishaar barpa us ko hi usul kar raha hun hasil na ho kuchh 'zafar' mujhe to sab kaam fuzul kar raha hun