har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat badhne lage zamin ki taraf tirgi ke hat jangal khade hain bhed ke aur ajnabi shajar shakhen nahin salib ki dushwar hai najat ho ke kabhi udas yahan baithta to tha chal ke kisi darakht se puchhen to us ki baat hathon mein gar nahin to nigahon ko dijiye us sahib-e-nisab-e-badan se koi zakat in parbaton ke bich thi mastur ek gupha patthar ki narmiyon mein thi mahfuz kaenat