ye kashmakash-e-munim-o-nadar kahan tak sarmaya-o-mehnat ki ye takrar kahan tak tutegi na zulmat ki diwar kahan tak utthegi na wo chashm-e-sahar-bar kahan tak is shahr-e-dil-azar mein ab dekhna ye hai rahti hai yunhi yurish-e-azar kahan tak khushnudi-e-sayyaad ki khatir yunhi yaro zindanon ko kahte rahen gulzar kahan tak ek roz bil-akhir mujhe taslim karenge jhutlaenge mujh ko mere aghyar kahan tak is tarah to sar marka-e-dar na hoga chhanoge 'wafa' kucha-e-dildar kahan tak