har roz hi din bhar ke jhamelon se nimat ke ro lete hain hum raat ke aanchal se lipat ke hum kaun hain kyun baithe hain yun rahguzar par puchha na kisi ek bhi musafir ne palat ke kya kya the mere dil ke sahife mein mazamin dekhe na kisi ne mere auraq ulat ke phirte rahe aawara khayalat ki surat kya chiz thi hum jis ke liye dahr mein bhatke shab karwaten lete to na guzre kabhi 'munzir' so jao miyan dard ki bahon mein simat ke