na hote shad aain-e-gulistan dekhne wale fasana bhi agar padh lete unwan dekhne wale halakat-khez ijadon pe duniya fakhr karti hai kahan hain irtiqa-e-nau-e-insan dekhne wale jo mumkin ho tum apne hath ki rekha khurach dalo ki hum hain to sahi khwab-e-pareshan dekhne wale ye rakhne hain ye dar hain ye tere ajdad ke sar hain idhar aa katba-e-diwar-e-zindan dekhne wale tulu-e-aftab-e-agahi kya khak dekhenge hiqarat se mera chaak-e-gareban dekhne wale to phir kaisi nazar-bandi tilsimat-e-tadabbur kya jo khud ko dekh len jashn-e-charaghan dekhne wale shikast-e-zauq-e-nazzara muqaddar hi sahi 'ghausi' unhen dekhenge phir bhi ta-ba-imkan dekhne wale