har roz hi karte hain kaghaz pe ye fan zinda hum ahl-e-sukhan hain hum rakhte hain sukhan zinda jo haar gae himmat raste mein pade hain wo pahunche wo hi manzil par thi jin mein lagan zinda murda nahin kahte hain shaida-e-mohabbat ko zinda hain wo zinda hain wo zer-e-kafan zinda khushbu ki tawaqqo hai be-kar hi baghon se baghon mein nahin milte wo sarw saman zinda ehsas-e-masarrat ko hum marne nahin dete ummid ki rakhti hai hum ko to kiran zinda sayyaad bata kis par ab zulm tu dhaega chhode hi kahan tu ne murghan-e-chaman zinda ye kis ne kaha apni tarikh se ghafil hain zehnon mein hamare hai rudad-e-kuhan zinda jo jaan lutate hain sarhad ki hifazat mein aise hi jawanon se rahta hai watan zinda daulat ka pujari tha daulat ke liye dekho shoalon ke hawale ki zalim ne dulhan zinda jab sair-e-bahaaran ko aata hai 'qamar' koi ek nim tabassum se hota hai chaman zinda