husn par bojh hue us ke hi wade ab to tark kar ai gham-e-dil apne irade ab to is qadar aam hui shahr mein khun-pairahni nazar aate nahin be-dagh libaade ab to tu thaharta nahin mere liye phir zid kaisi qaid is ham-safari ki bhi utha de ab to ped ne sae ke harfon mein likha tha jis ko dubte chand wo tahrir mita de ab to sokhta lamhe tujhe bar-e-safar hi honge rakh bhi apne talluq ki uda de ab to ishtihaar apna liye phirta hun qarya qarya kya hai qimat meri ye koi bata de ab to khud ko pahunchai hai kya kya na aziyyat main ne koi 'shahin' mujhe is ki saza de ab to