har roz pahle roz se behtar mila hai khauf aisa nahin ki ek hi jaisa raha hai khauf jis ne tumhaari nind ki duniya ujad di mujh ko bhi ek aisi hi aawaz ka hai khauf mere mizaj ka hai mera aks khadd-o-khal sab se alag-thalag hun main sab se juda hai khauf ye kaenat donon ki marzi se hai bani teri ata hai zindagi meri ata hai khauf apna bhi hath chhune se dar jae aadmi meri samajh mein aa chuka kitna bura hai khauf teri ata se badh ke to mumkin nahin hai dost itna hi kha raha hun main jitna diya hai khauf mere liye hai habs ka mausam bala-e-jaan jaise diye ke waste biphri hawa hai khauf ye soch mere waste hai masala bani tujh mein khuda ka khauf hai ya phir khuda hai khauf ek roz shahr-e-yar pe ban jaega azab achchha hai ahl-e-shahr mein jo pal raha hai khauf 'shahid' adam ka hona aur na hona jaan le yani wajud raushni hai aur khala hai khauf