fasil-e-dil mein dar kiya ki rabta bana rahe ise khuda ka ghar kiya ki rabta bana rahe zamin pe apne jism ki thakan bichha ke so gaya bharosa khak par kiya ki rabta bana rahe sabhi gharon mein aap hi muqim tha isi liye mujhe bhi dar-ba-dar kiya ki rabta bana rahe wo dushmanon ki saf mein tha isi liye kalam bhi kaman khinch kar kiya ki rabta bana rahe use pasand aa gain palak palak pe jhaalaren so main ne in ko tar kiya ki rabta bana rahe main khud-gharaz mein matlabi tabhi khuda se pyar bhi kisi ke nam par kiya ki rabta bana rahe ye kuza-gar ka shauq tha tabhi to meri khak ne tha raqs chaak par kiya ki rabta bana rahe kabhi main karbala gaya kabhi madina o najaf kahan kahan safar kiya ki rabta bana rahe