har sadi mein qissa-e-mansur dohraya gaya sach kaha jis ne use suli pe latkaya gaya hum pe hi sadiyon se hain zulm-o-sitam jabr-o-alam aur hamein hi morid-e-ilzam thahraya gaya har zamane mein milega ek sadaqat ka naqib har zamane mein use hi tauq pahnaya gaya rukh badal kar aandhiyan haalat ki uthti rahin azm mein mere na koi farq bhi paya gaya kya sunaen hum shikast-e-dil ka afsana 'jamal' ye wo shisha hai jo har patthar se takraya gaya