jhank kar rauzan-e-diwar ke bahar dekho ghar se niklo kabhi duniya ka bhi manzar dekho tum jo har shakhs pe tanqid kiya karte ho kabhi khud apne gareban ke andar dekho ab to apnon ne bhi munh mod liya hai hum se kitna bigda hai 'jamal' apna muqaddar dekho