har safar ke baad waisa hi safar rakkha gaya aur phir maqsum mera dar-ba-dar rakkha gaya arsa-e-dasht-e-talab ko intiha bakhshi gai mohlat-e-umr-e-rawan ko mukhtasar rakkha gaya hum kahan sine ki tah mein ye samundar thamte ek us khatir tujhe ai chashm-e-tar rakkha gaya hasil-e-jaan par khas-o-khashak-e-hasrat khinch kar darmiyan us dil ke khwahish ka sharar rakkha gaya bosa-e-khurshid se khola sahar ka pairahan zanu-e-shab par mah-e-kaamil ka sar rakkha gaya din ke raston par bichai na-rasai ki thakan nind ki dahliz par khwabon ka par rakkha gaya muztarib rahti hai koh-o-dasht mein jaise hawa is tarah sine mein sanson ka guzar rakkha gaya aate-jate har-nafas mein maut ka tha zaiqa raegan jine mein marne ka hunar rakkha gaya khwahishen jagen jamal-e-yar ke didar se paniyon par mah-e-uryan ka asar rakkha gaya umr bhar 'sarmad' thi jis ko yaad rakhne ki saza samna us shokh se ek lamha bhar rakkha gaya