jhulaste lamhon ka lams le kar main chal raha hun khud apni dozakh ki aag kha kar main pal raha hun safar ki rudad bhi meri kuchh ajib si hai main akhzari pahadiyon se gir kar sambhal raha hun mera wajud o adam bhi ek hadsa naya hai main dafn hun kahin kahin se nikal raha hun chita bujha de koi koi asthiyan baha de main aarzu mein sahar ki sadiyon se jal raha hun samundaron ka swad meri zaban par hai main sungh kar machhliyon ki khushbu machal raha hun nahin hai 'mamun' sath mere yahan pe koi akela hi zindagi ki rahon pe chal raha hun