har samt pareshan teri aamad ke qarine dhoke diye kya kya hamein baad-e-sahari ne har manzil-e-ghurbat pe guman hota hai ghar ka bahlaya hai har gam bahut dar-ba-dari ne the bazm mein sab dud-e-sar-e-bazm se shadan be-kar jalaya hamein raushan-nazri ne mai-khane mein aajiz hue aazurda-dili se masjid ka na rakkha hamein aashufta-sari ne ye jama-e-sad-chaak badal lene mein kya tha mohlat hi na di 'faiz' kabhi bakhiya-gari ne