hasrat-e-did mein guzaran hain zamane kab se dasht-e-ummid mein gardan hain diwane kab se der se aankh pe utra nahin ashkon ka azab apne zimme hai tera qarz na jaane kab se kis tarah pak ho be-arzu lamhon ka hisab dard aaya nahin darbar sajaane kab se sar karo saz ki chheden koi dil-soz ghazal dhundta hai dil-e-shorida bahane kab se pur karo jam ki shayad ho isi lahza rawan rok rakkha hai jo ek tir qaza ne kab se 'faiz' phir kab kisi maqtal mein karenge aabaad lab pe viran hain shahidon ke fasane kab se