har samt qayamat si bapa dekh raha hun main dekh raha hun ki ye kya dekh raha hun har shakhs ko mail-ba-riya dekh raha hun phaili hui har-su ye waba dekh raha hun beja hai ye kahna ki baja dekh raha hun danaon ke ausan khata dekh raha hun ab ai mere allah tu kya dekh raha hai kya dekh raha hai tu main kya dekh raha hun aankhen hain magar kuchh bhi dikhai nahin deta yun dekhne ko arz-o-sama dekh raha hun insan kisi haal mein khush rah nahin sakta har lamha use nala-sara dekh raha hun hogi ki nahin eid kisi tishna-dahan ki hoga ki nahin mai-kada wa dekh raha hun dekho to sahi aankh ke andhe ne kaha jab ek aql ke andhe ne kaha dekh raha hun ek aankh nahin dekh saka haif idhar to main rah teri rah-numa dekh raha hun