jadu tilism sehr fusun totka nahin achchhe-bhale mariz ki koi dawa nahin fariyaad iltimas pukar iltija nahin haq apna chahta hun kisi aur ka nahin matlab nahin murad nahin muddaa nahin allah re nasib mere pas kya nahin barq-o-bala ki zarb se gir jaega nahin faulad ka jigar hai mahal ret ka nahin ek-adh ke siwa ye kisi ne kaha nahin koi kisi se kam nahin koi siwa nahin main ne suna suna ke kaha jab suna nahin ab sun suna ke kahte hain kis ne kaha nahin ek main ki aaine ki tarah dekhta rahun ek tu ki aaine ki taraf dekhta nahin aankhen nahin pur-ab ki sina nahin kabab dajla nahin furaat nahin karbala nahin kab aasman saf nazar aae kya khabar kab din phiren nasib khule kuchh pata nahin in doston mein kis ne nichoda nahin lahu in ajgaron mein kis ne mujhe kab dasa nahin sab ek dusre ko samajhte hain dusra ye baat dusri hai koi dusra nahin jal kar bhi na-umid nahin pur-umid hai nairangi-e-jahan se abhi dil bujha nahin