har sans mahakta hua ehsas hai zinda dil mein tere milne ki abhi aas hai zinda ashkon ne koi jis pe ibarat nahin chhodi mahsus ye hota hai wo qirtas hai zinda ab jam nahin zahr ka pyala hai zaruri pyase ko gila hai ki abhi pyas hai zinda dharti mein jaden gad ke sar apna uthae barish ke tasawwur mein hari ghas hai zinda be-jaan samajh kar jise wo chhod gaya tha 'masum' wo taswir mere pas hai zinda